Dosto Aaj mai jis topic per baat karne wala hu wah humare samaj aur desh ke future se juda hai jo ki aaj manaw samaj me abhisap ki tarah phail raha hai . janha ek ur humara desh vikassheel desho me sabse aage hai wanhi dusri taraf humare samaj me badti ashahnsheelta vikas ke rukawat me sabse bada karan banta ja raha hai .
Aaj ye baat kisi se chupi nahi hai ki humare samaj me aaye din hatya, loot balatkar ye humare samaj ka ek niyam ho gaya hai jiska mukhya karan hai Ashahnsheelta (Intolrence) .
Humare samaj me ek- dusre ke prati badti ashahanseelta khas kar yuvao me chidchidahat jo humare desh ka yuva hi nahi balki desh ka bhabhisya hai.
Intolrence(Ashahansheelta) kya hai
Aaj baat ki jaye ashahansheelta ki to ye manaw ko kewal aur keawal galat raste par late hai.ashansheelta 2 byaktio 2 samudayo ke beech me hota hai koi bhi byakti swayam me ashahansheel nahi ho sakta hai.
Dusre ki bato ko na sunna aur apne bato ko sabse aage rakhana aur chhoti-chhoti bato par akkramak ho jana hi ashahansheelta hai.
kyo ki sahansheel byakti sabhi ki baato ko sun kar nirday karta hai jiwan me humesa khus rahta hai.
Aur jo chhoti chhoti bato per aakkramak , gussa ho jata hai wah jiwan me humesa dukhi rahta hai kyoki agar jiwan me kisi ko kuchh karna hai kabhi na kabhi jukna bhi padega.
lekin agar hum ashahansheel hai ya chhoti chhoti bato par gussa karne wale hai to use istethi me hum humesha kisi na kisi se uljhe hi rahenge. aur jiwan me kabhi bhi kus nahi rah sakte hai
" swayam ki barbadi hi ashahansheelta hai "
Yuvao me badti ashahanshelta
Aaj agar asahansheelta dekhi jay to yuvao me sabse jada hai chhoti chhoti bato per ek dusre se bhid jana aur apne bato ko aage rakhna.
Humare desh ka bhabbhisya kaisa hoga ye to kahna muskil hai lekin yuvao me badta ashantosh aur unki ek dusre ke prati aakramakta ye desh ke bhabhishya ke liye aur desh ke vikas ke liye bilkul hi pratikul(haanikarak) hai.
Aaj humare samaj me badte crim (hatya, loot, phirouti) ashahnshelta ka ek bahut bada udaharad hai hum aaj kisi bhi bato ko ( sahi ho ya galat) manne ko taiyar nahi hai
Yuvao me badte akross humare samaj me badati berojgari ka bhi ek mukhya karan hai.
kyoki jo byakti rojgar ya kisi kaam me laga rahta hai wah yese log jinko jiwan me na to apna nahi pariwar na samaj nahi desh ki chinta nahi hoti hai unki apeksha jyada sahnsheel hota hai. jo jiwan ke sari bandhano se mukta hota hai yese insaan bhi ashahansheel hote hai khas kar yuva awastha jab hume na to paise ki chinta hoti hai aur na hi kaam ki chinta hotai hai.
Ashahansheel bayktio ke lakshan
Hum aise logo se bachakar bhi rah sakte jo chhoti chhoti bato per gussa hota ho to hame yese logo ko ignore karna chahiye jo---
- chhoti- chhoti bato per gussa karta ho
- Apne galat kamo ko sahi manta ho
- Apni bato ko (sahi ho ya galat ) uper rakhata ho
- Jo kisi ki bato ko na sunta ho
"Ashahnsheelta
"manaw ki maanshikta aur swayam ki kamiyo ko darshata hai"
Humara pariwar, samaj, aur desh ki ekta , akhandata ke liye sahansheel hona bahut hi jaruri hai . kyoki ashahnsheel byakti na to apna , na pariwar na samaj aur nahi desh ko vikas kar pata hai.
Yese byakti se samaj me na hi kewal vikas prabhabit hota hai balki humare samaj me ashahansheelta badne se manaw ki chhati bhi hoti hai.
Aaj ek dusre ki bato ko sahan na kar pana hi hatya ka ek bahut bada karad hai jo ki aaj humare samaj me aaye din dekhne ko milta hai. Yah humare samaj ko rajnaitik arthik, aur samajik rup se kamjor karta hai.
"Tolrence manaw ko uske Lakshya tak aur samaj me ek nayi disha dene ka kaam karta hai "