Apne blog ke templet ko download karke kaise badle asani se?

Agar aap dekhe to blog ka templet hi hai jo humare trafic ke aane ke baad unhe humesa aane per majboor kar deti hai.
 hum dusro ki baat nahi lete hai hum apni baat hi lete hai ki hume subse jada kis website pe jane me achha lagta hai jis templets me jada nila, pila  lal rang ka use hua ho ya phir ek simple templet jisme huh sabdo ko achhhi tarah se pad sake.aur usko samajh sake .






waise to der sari website hai jo aapko free templets provide karti hai aur o sab chhe aur SEO ke liye bhi achhe hote hai . lekin agar hum achhi trafic ko apne website ki taraf  lana chahte hai to mai yahi kahunga ki 10$ se 15$ me bhi chhi se achho templets mil jayengi .




Lekin agar aap naye hai to mai samajhata hu ki abhi iski koi jarurat nahi hai.abhi kewal aapko 3 se 4 mahine kewal aur kewal achi achi post dale uske baad jab aapki earning hone lage to aap templet ko change kar sakte hai.

Blog ke liye achha templet kyo jaruri hai 

Dosto mera aap se nivedan hai ki agar aap bloging me kadam bada chuke hai to bhir achhe se bloging  kare aur ye nahi ki hum blog bana liye aur kabhi kabhi post kar diye bus kyoki ek garib aadami aur ek bada adami dono ko ek sath baitha diya jaye to mai samjhta hu ki har insan bata dega ki koin bada aadami hai koin gareeb hai kyo,
kyoki ek gareeb adami ke kapde se, aur uske pahenne ke dang se pahchan leta hai lekin wanhi ek bade adami ke kapde pahnne ke dang alag hai koi bhi byakti kisi ke jabe me paise nahi dekhta hai ki iske pass paisa hai to ye bada insan hoga anytha nahi hoga. theek usi prakar humare site pe koi visit karta hai aur agar humara templet aur likhe gaye ward achhe lag jaye  samajh me aa jaye to humesa ke liye humara visiter ban sakta hai.


  • Traffic badane me madat karta hai .
  • visiter ko regular banata hai.
  • website ki rank ko badata hai.

Ek achha templet kise kahenge

Ek achha templet wah nahi jo kewal dekhane me hi achha ho balki agar log aapke site ko search kare to jaldi na khule aur apki najar me itni achhi templet ho ki usme koi ward hi na samajh me aaye ise ek achhi templet nai kahenge to kin kin bato ka dhyan rakhe.

  • Aapka templet yesa ho ki uske har ek ward samajh me aaye.
  • Templet me bahut kala nila pila der sare colour ka prayog na kare.
  • Aapka templet mobail friendly hona chahiye yani ki koi mabail me dekhe to jaise aapke pc me dikta ho usi prakar mobil me bhi dikhta ho.
  • "Search Ingean Optimization' (SEO) friendly ho yani ki agar apke ke siate ko koi khole to asani se khul jaye kyoki kabhi kabhi templet ki wajah se humara blok search ingean me nahi aata hai
  • Templet me achhe widget ko achhe jagho per lagaya ja ske yesa bhi templet hona chahiye.

Templet ko change kaise kare

Templet ko chang karna bilkul hi asan hai lekin agar aapne apne templet ko download kar liya hai aur agar use XML file me nahi badle hai to aapka templet nahi change hoga. kyoki koi bhi templet humesa ZIP file ke rup me hoti hai. aur download karne ke baad hume use XML file me badala padta hai.

Ab jab humari file XML me ho gayi to hume apne blog ke Dasboard me jana hai. wanha templet per click karna hai.

Step 1

Jo page kulega uske right sida me Backup/Restor ke buttun per click kar de.



Step 2


Ab ek naya page khulega kuchh is tarah.                                                                                               


1.Agar aap koi dusra templet use karne ja rahe ho to ek baat ka humesa dhyan rakhe ki download templet per click kare kyoki iske baad aapka purana templet apke computer me aa jayega jisse aapke is templet ko chang karne me koi dikkat aaye to aap phir se chang kar sake

2.Ab apne jo file XML me convert ki thi use select kare phir upload file ke bagal me aapko o file dikhegi .

3. Ab aap simply Upload per clock kar de.aur aapka templet ab puri tarah chang ho gaya hai.
Aagr aapka templet pc ke liye to change ho lekin jo mabile ke liye hota hai aga ysme nahi cgange hua to ise pade.



Aur agar koi templet chang karne me koi paresani ho to aap coment box me comen karke puchh sakte hai.      



Related Posts
Previous
« Prev Post

Facebook