Aaj humare desh hi nahi balki viswa ke har desh me berojgari ek bahut badi samsya hai .In sab ke beech yovao ka ek bada tapka har saal berojgaro ki line me aata hai.jo ki yovao ke liye bahut hi ghatak sabit ho raha hai.
To kya aaj ke is comptition ke yug me yuvao ko ye nahi samjh a raha hai ki hum kya kare kya na kare.
hume ye kahna to achha lagata hai ki usne jiwan me kya kiya usne ye kar liyahato to ye ho jata lekin wanhi jab baat apne aap ki ho hume ye nahi pata hota hai ki Hume kya karna hai ?
Agar humara padoshi , humara relative ya phir humare
chahane wale koi bhi ho agar o log docter , master ,ya phir enginearing ki
taiyari kar rahe to humare mata -pita ya phir hum swayam sochte hai ki humbhi yahi course kar le hum bhi docter ya master ban jainge .
lekin ye soch jo humare andar aayi hai o humare padoshi ki den hai . lekin kya humne kabhi apne dil se ye puchha hai ki hume kya karna chahiye. ya phir humara interest kis kam ko karne me hai.agar nahi to apne dil se puchho ki jiwan me hume kya karna chahiye .
agar kuchh karna chahte ho aaj se hi us lakshya par kaam
karna suru kar do.
hume ye kahna to achha lagata hai ki usne jiwan me kya kiya usne ye kar liyahato to ye ho jata lekin wanhi jab baat apne aap ki ho hume ye nahi pata hota hai ki Hume kya karna hai ?
Agar humara padoshi , humara relative ya phir humare
chahane wale koi bhi ho agar o log docter , master ,ya phir enginearing ki
taiyari kar rahe to humare mata -pita ya phir hum swayam sochte hai ki humbhi yahi course kar le hum bhi docter ya master ban jainge .
lekin ye soch jo humare andar aayi hai o humare padoshi ki den hai . lekin kya humne kabhi apne dil se ye puchha hai ki hume kya karna chahiye. ya phir humara interest kis kam ko karne me hai.agar nahi to apne dil se puchho ki jiwan me hume kya karna chahiye .
agar kuchh karna chahte ho aaj se hi us lakshya par kaam
karna suru kar do.
Interest app ki ruchi kisme hai.
Dosto jiwan me sabse badi problem hai decision (nirday) lena hum kon sa nirday le ki jiwan me back na ho kyoki humara ek sahi nirday humare jiwan ko aage bada deta hai ek galat nirday jiwan barbad kar deta hai . to hume aagar jiwan me kabhi nirday lene ki bat aaye to humesa dil ki sunna chahiye.
kyo ki jiwan me kya kare ye to humare mata-pita, familywale, relative, ya padoshi sare log batayenge ki ye kar lo yo kar lo ye sahi hai yo sahi hai lekin jaroori ye hai ki hum kya kar sakte hai .
Ye sahi bat hai ki jiwan me aage badne ke liye ek laksha ka hona bahut jaroori hai .lekin mai is cheej ko kewal student life ke liye manta hu.
kyoki ek business man ho cahe wah politecion ho ya chahe koi bada insan ho unka jiwan me ek laksha nahi hota hai businessman apne business ko humesa bada karne ki sochata hai politicion humesa bade satta ke pichhe bhagata hai . ek scientist ka koi laksha nahi hota wah humesa khoj karta rahta hai .
hume apna lakshya chunna chahiye lekin lakshya pane ke baad jiwan me kabhi bhi ek sthan pe nahi khada hona chahiye .
kyoki -
" Human is dynamic"
" Manushya gatisheel hai "
ziddi ,hathi aur drindnischai hona
ziddi ,hathi aur drindnischai hona
Agar aap jiwan me kuchh bada karna chahte ho to aapke andar ek dridhnischai ki bhawana hona chahiye . ziddi hona jiwan me bahut jaruri hai apko hathi hona padega . aapne jo socha hai jiwan me karne ke liye use karna chahiye chahe aap ko apne mata- pita relative ke khilaf hi kyo na jana pade agar apne kuchh bada soch liya hai karne ke liya to kewal apne dil ki sunna aur kisi ki mat sunna .
kyoki aap kya kar sakte ho ye kewal aap jante ho apke pariwarwale ya relative koi nahi janta hai.
Apne lakshya ke prati dedication (samarpad) hona.
Jaroori ye nahi hai ki aap ne kya bada soch liya hai kyoki is dharti pe hume jo kuchh bhi dikh raha hai. wo sab manuysya manaw dwara hi banaya gaya hai to jiwan me kuchh bhi bada nahi hai jaroori ye hai ki humne jo socha hai uske prati hum kitne imandaar hai kyoki hum apne pariwar wale le khilaf koi kam kar rahe hai to us kaam me safal hona ye humari jimmedari hai
Isliye hume kisi bhi kam ko dikha kar karna ye apne kam ke prati samarpad nahi hai . hume jiwan me age badne ke liye kam ke prati samarpad aur imandar hona padega.
Planning (Yojana) ke anusar kam karna
hume apne kaam ko karne ke liya aur jiwan me safal hone ke liye planning (yojana) banakar chalna humare lakshya ko pane me sabse jada sahayak hai kyoki planning humare jiewan ko % me badalti hai ki hum apne laksha ke kitne karib hai.
yojana hume kisi aur se nahi balki hume apne aap se banani hai .
Ise dusare sabdo me hum timing duration kahte hai kyoki samay hi hai jo hume batata hai ki hum apne jiwan me kitna aage hai aur kitna pichhe hai .
hume agle din kya karna hai ye hume saaam ko hi soch lena chahiye aur utne kam ko dusre din har hal me pura kar lena hi kaam ke prati samarpad hai aur apne lakshya ke prati rujhan hai .
kabhi bhi kisi ko dhoka denawala , galtrasta batane wala dost ya phir insan kabhi bhi o aage bad sakta hai uska yesa sochana swam ko dhokha dena hai . aap jiwan me ek kadam chalo likin o kadam aap ka hona chahiye na ki kisi ko galat rasta dikhakar ya phir kise ko jiwan ke raste se hatakar . kyoki aise log uthate to jaldi hai lekin utni hi jaldi se girte bhi hai phir o jiwan me kabhi nahi uthate hai.
To agar aap jiwan me kuch alag kuch bada karna chahte hai to kisi ke prati galat bhawana na ho .
kyoki-
"bada o nahi jo dhanwan hai" "Bada wah hai jiski soch badi hai "
agar koi aap se jalta bhi hai to aap use avoid kare andekha kare aur usse pyar se baat kare
kyoki-
"janha ek samanya inshan sochana band kar deta hai " "kuchh bada karnewala byakti wanhi se sochana suru karta hai"
jiwan me kisi ki bhi madat karne ka saubhagya mile to uski help turant karna chahiye , kyoki jiwan me age badne ka ya mulmantra hai .
Lakshya ke prati niymitata(regularity)
koi bhi kam chahe wah chhota ho ya bada ho kisi bhi kaam ko karne ke liye niyamitta regularity hona bahut hi jaroori hai khaskar tab jab hum kisi bade kam ko kar rahe ho to hume apne lakshya ke prati niymit jaroor hona chahiye .
Agar humne kisi kaam ko suru kiya hai to uska ant bhi hoga .lekin aagar hum apne kam ke prati immandar aur niyamit karne wale ho to wanhi kam jald aur achhedang se hota hai to mai yahi kahunga ki jabtak lakshya na mil jaye tab tak apne dincrya ko banaye rakhe .
" let's start and achiev your goal "